Request
Zyada sy Zyada like [g+1] kr ky post ko Google pr recomment kry Shukria
18 Apr 2014
Darakhton sey harey pat’tey hawa kyon nooch leti hai !
Wo In chirryon ke totey par kahan par beich deti hai !
Inhein jo mol koi ley
Dukhon se tol koi ley
agar dil mein ye chubh jayein
Tau gehre naqsh khub jayein
Agar hum waqt se chup kar kahin be’waqt ho jayein
Aur in chirryon ki surat
Wuqa’at apni hum bhi kho jayein
Tau kya phir bhi lagataar aise san’naton ki gehri dhol
Yahan urr urr kar aaye gi !
Tau kya phir sokhi sokhi tehniyon ki kokh mein
Ghamnaak saanson ko
wohi biptaa sunaey gi !
Harey pat’ton ki har konpal
Jo apni khushk aankhon mein
Namee ke phool chunti hai
Tapak ker boond ki man’nind rishtey torr jaey gi
Hum apni siskiyaan chal kar
Kisi khandaq ki gehrai mein
Jaa ker dafn ker aayein
Hawa ke teiz nakhun bhi tarash aayein
Tau phir in tot’tey par chirryon ko bhi
Parwaaz aayey gi
Hamari be sada baaton mein bhi
Aawaaz aayey gi !!!
******
0 comments:
Post a Comment